Breaking News

how to make money with a blog for beginners | 100 Blog Topics

how to make money with a blog for beginners | 100 Blog Topics

Welcome to Blog Ideas of Mahakal Trading, es post me Mahakal Trading aaplogo k liye blog shuru karne k liye 100 best topic le kar aaya hai. aap Mahakal Trading dwara diye gaye inme se kisi bhi topic par apna blog suru kar skte hain ya inhe dekh kar inspire ho sakte hain kisi or related topic par blog shuru karne ke liye.

Mahakal Trading

  • Agar Mahakal Trading ki mane to blog likhna un hi topic par blog likhen
  • jinke bare me net par padhna aapko pasand ho
  • jiske bare me aap acche se apni knowledge ko blog ke rup me likh sakte ho.
  • jinme aap ka interest ho.
  • jinke bare me logon ko padhne or janne me interest ho?- sath hi log un topics par kya sawal puchte hain? 

100 Blog Topics | Naya Blog Shuru karne ke liye.

to ab shuru karte hain- 100 Blog Topics ki list

1. Comics & Anime Blog – isme aap alag alag comic Superhero, Anime/Manga Shows aur superheroes par aane wali movies ki details post kar skte ho. India me aisa koi blog nahi hai aur agar apka isme interest hai to aap ek acchi khaasi fan following bana skte ho aur loyal traffic generate kar skte ho.

2. MLM Reviews & Tips – Desh me aaj 1000 se jyada Multi-Level Marketing/Direct Selling wali companies ho gayi hain, join karne ke pehle log pehle us company ko google par search karte hain ki kaisi company hai – agar aapne har ek company ka pura detail daal dia – kaise join karna hai, kitna rupaye lete hain, kitna kama skte hain, earning scheme kya hai (pyramid structure hai ya 2 leg chalane hain), kaun kaun se products hain, user review kya hai etc. to aapko jitna traffic milega uska aap andaaja bhi nahi laga skte, upar se aap galat aur fraud company ko expose karke bahut logo ke rupaye bhi bachayenge – wo satisfaction lakho rupaye se badh kar hai. Is blog par aap in mlm companies se jude logo ka interview bhi le sakte hain, apne koi acchi company join ki hai to usko promote kar skte ho, apne under jyada se jyada logo ko kaise jodein uske upar tips aur advice de sakte hain.

3. Shayari/Jokes/SMS – But jo latest ho wahi kare, nahi to purane wale already kisi ne apne blog par daal dia hoga aur apka duplicate content hone ke kaaran Google Ads approve na kare.

4. Fantasy sports blog – fantasy sports khelne ke liye best websites and apps, dream 11 me apni team kaise select kare etc. Note : Gambling ya betting ke upar blog na banaye bharat me bahut jagah ye illegal hai aur apko google ads nahi milenge aur legal issue bhi ho sakta hai.

5. Temples of India/World – isme aap bharat aur duniya ke har mandir ke bare me details daal sakte hain, unhe kis time par visit karna chahiye, kab open rhta hai kab close rhta hai, aas paas kahaan raha ja skta hai, kaise pahucha ja sakt hai – iski puri details ek hi site par compile kar ke. Isi tarah girjaghar, gurudwara, church [aur baki religion ke religious places] ke upar bhi kiya ja skta hai.

6. Finance & Investment – agar aapko achhi jankaari hai tabhi is blog ko shuru karen – rupaye ko kahaan invest kare, kisi bhi bank ka account kaise khole, mutual fund kya hota hai, stock market me kaise nivesh karte hain, best stock market nivesh karne wali company kaunsi hai, tax kaise bachaye etc.

7. Education & career – pilot kaise bane, doctor kaise bane, CA kaise bane, SSC kaise nikalen, UPSC ki tayari kaise karen, SSC or UPSC ki tayari ke liye best Coaching list…aise har career ke upar article likh sakte hain

8. Product comparison blog – yahaan aap alag alag brand ke products ko compare kar sakte hain aur bata skte hain kaunsa product jyada accha hai aur kyun?

9. Yoga & Meditation – Yoga for increasing height, yoga for weight loss, yoga to reduce belly fat, yoga for better breathing, meditation kaise kare, best meditation apps, meditation ke fayde

10. Language Learning Blogs – English seekhen, hindi seekhen, English grammar tips, English kaise bole, English sikhne ke liye best apps, English dialogues between customer and business owner, conversation between student and teacher etc.

11. Money Saving Blog – Frugal Living, Kam rupaye me kaise rhe (reh-gujar kare), online shopping me rupaye kaise bachaye, tax kaise kam kare, koi online shopping festival chal rha hai to uski detail, credit card se kaise rupaye bachaye, travel karne waqt rupaye kaise bachaye – saste lodge me reh kar, mehnge products ke saste (aur acche) alternatives etc.

12. Science Blog – yahaan aap scientific concepts ko easy aur interesting tarike se explain kar skte hain. New Research, Space Science, Innovative Products, Future me use hone wali technologies ke bare me likha ja sakta hai.

13. Indian Laws – Agar aap law background se hai to aapke liye sabse badhiya ye topic rhega jahaan aap kanoon ke niyam ko saral shabdo me samjhayenge. Topics – Consumer complaint kaise kare, online harassment ki complain kaise kare, property lene waqt kin laws ka dhyaan rkhe, online fraud ki complain kaise kare etc.

14. Current Affairs & General Knowledge – Aaj Kal har exam me current affairs ya general knowledge to pucha jata hi hain, even interview me current affairs ke prashn kiye jate hain, aise me GK blog par bahut jyada traffic kam time me mil sakta hai. Is par aap Quiz shows ke answer bhi daal sakte hain jaise KBC seasons ke dauraan jo pucha jata hai.

15. Web Series Review – Netflix, Amazon Prime, Viu, Hotstar aur youtube par aane wale shows/web series ka review kar skte hain, aaj kal iska bahut craze badh rha hai aur traffic bhi bahut aasani se mil jayega.

16. Important Days Blog – Duniya bhar me jo bhi important days aur holidays hote hain unki details. Jaise January 10 – World Hindi Day, Sept 15 – Engineers day inke upar details ki kyun manaya jata hai shuruat kahaan se hui kab hui etc. iske saath hi ek history ka compilation bhi kar skte hain like ‘today in history’ [Aaj ka itihaas] aur daywise important historical events ko compile karke daily ek naya post bana skte hain.

17. Software Reviews & Tutorials Blog – best software to download youtube videos, best audio editing software for windows – free & paid (download link bas free wale ka dena), paid wale ka doge to legal issue aa sakta hai aur ads disable ho sakte hain. Is blog par aap tutorial bhi daal sakte ho jaise – how to edit audio using audacity, how to convert .mobi to .epub using calibre software.

18. Group Discussion/ Essays – GD topics le kar uske upar dono taraf se points likh kar aap interview ki preparation karne walo ke liye ek bahut accha blog bana skte ho. News channels par aksar koi na koi debate aati hai, un topics ko aap apne blog par daal skte ho, kuch important points ke saath.

19. Dog & pet Blog – aaj kal me dekh rha hu dheere dheere paltu kutte rkhne ka trend badh rha hai aise me agar aapke paas bhi ek paltu kutta hai to aap is blog ki badi aasani se maintain kar payenge. Kuch topics jin par aap likh sakte hain – Puppy diet requirement, is pedigree good for your dog – review post, apne kutte ko kitne time par nehlaye, vaccination and deworming schedule for your dogs etc.

20. Gift Ideas Blog – Birthday par kya gift de, teacher’s day par teacher ko kya gift de, girlfriend ko pehli date par kya gift de, wedding aur anniversary par kya gift de, retirement par kya gift de, promotion party par kya gift de, new born baby ki party me kya gift de etc.

21. Indoor Games, Fun Challenges & Activities – Alag alag games jo log apne bhai behen, cousins ke saath khel kar time pass kar sakte hain. Example – Antakshri, Carom Board, Business, Ludo & Snakes, Book Cricket , Truth or dare, Dumb Charades etc.

22. Social Media – Whatsapp status, facebook status collection, best whatsapp groups, best telegram groups, best facebook groups etc.

23. Kitchen Tips – best cooker, best tawa, kitchen kaise sajaye, lpg connection kaise le etc.

24. Online Course – best online course to learn photography, best online course to learn photoshop, top online courses to learn data science, online degree ke liye best university etc.

25. Political News – jinka politics me interest hain unke liye ye sahi blog rahega, aap daily jo bhi bade news aa rhe hain politics ke unke upar detail me puri jankari de sakte hain

26. Study Materials – jo bhi exam aa rha hai uski tayari karne ke liye study material ka collection, questions. 

27. Business ideas – alag alag tarah ke business start karne ke pura process, business kaise badhaye, business card kahaan se banwaye, business setup karne me kitna kharcha ayega, office setup kaise kare, best coworking space in lucknow, Noida etc.

28. Startup & business news – kaunse startup ko kitni investment mili, kaunsa startup kis idea ke upar kaam kar rha hai, kaunsi problem solve kar rha hai

29. Online Money Blog – alag alag online rupaye kamane ke tarike, freelancing se rupaye kaise kamaye, article likh kar rupaye kaise kamaye, College ke saath saath online part time work kaise kare, kahaan kare etc.

30. Photography – photoshop training, video editing, image editing ke tips yahaan de sakte hain, mobile photography kaise kare, mobile par video film kaise banaye etc.

31. Android App Development – android app kaise banaye, android app se rupaye kaise kamaye, kaunsa platform best hai

32. Reality TV – All about Reality shows on TV, about their audition dates, audition procedures, latest news gossips eliminations about Contestants etc.

33. TV Shows Blog – Running Tv shows se related news, kahaani me aage kya hone wala hai jaise news channel par show aate hain – Saans bahu aur saajish, saans bahu aur betiyan usi tarah ek blog.

34. Movies Explain, Blunders – Is blog par aap complex science fiction wali movies ko explain kar sakte ho, Bollywood movies me jo galtiyan karte hain unke bare me post kar skte ho

35. Programming – Isme aap hindi me coding karna, programming languages jaise c ++ , java, php etc. sikha skte hain, hamare colleges me bahut ghatiya tarike se sikhate hain aur hindi me sikhane wala koi badhiya blog hai nahi, aapko traffic to milega hi aap bahut logo ka career bhi bana denge. Isse jyada satisfaction aur kis kaam milega?

36. Easy maths – competition exams ke maths ke question solve karne ke liye shortcut tricks, vedic maths ke formulae – baad me isme aap apni ebook sell kar skte hain, online test series sell kar skte hain ya fir apne coaching institute ko promote kar skte hain.

37. Luxury Blog - Ameer log kaise rhte hain, kahaan ghumte hain, ameero ki networth, unke wealth ke bare me articles

38. Entertainment – Celebrity Gossips, New Movie Launch Details and related news

39. Body Building – Exercises, Diet Plans, Fitness & Exercise of Celebrities, Upper body strength ke liye kaunsi exercise best hai, legs ke liye best exercises, Vitamins aur Supplements ke reviews etc.

40. Windows Help & Advice – Windows operating system se related jo bhi error hai ya technical tricks and tips hai uske upar

41. Women Blog – successful women biography, women problems and solutions, news related to women etc.

42. Men Fashion Blog – hairstyle tips, party me jane ke liye kaise tayar ho, interview me kaise kapde pehne etc.

43. Celebrity Information – height, weight, age, net worth, girlfriend/boyfriend, marriage etc.

44. Biography – successful logo ki biography like mark Zuckerberg, steve jobs, apj abdul kalam, atal Bihari bajpayee

45. Agriculture – kheti kaise kare, paudho ki upjao kaise badhaye, kaunsa khad sahi rhta hai, bade tamatar kaise upjaye, ganne ki kheti kaise kare, adhunik kheti karne ke upay, apna upjao market me kaise sell kare, kis daam par sell kare, vertical farming kaise kare, Sarkar ki taraf se Minimum Support Price kya hai..

46. Beauty Blog – skin care, body care, hair care – baalo ka girna kaise roke, baal straight kaise rakhe, makeup kaise kare, hair style tutorials

47. Gharelu Nushke – Ayurveda home-made remedies for cure of diseases

48. Song Lyrics – jo bhi latest song aaya hai uske bol/lyrics likh kar bana skte hain…bahut search karte hain log gaane ka lyrics

49. Gadgets review blog – isme aap laptop, mobile, headphone, smart watch, Virtual Assistant jaise Amazon Alexa, Google Home aur baki gadget ka review likh sakte hain

50. Automobile review – bike, car comparion aur review, best sports bike, best SUVs under 30 lakhs, best 150cc bike, Hero Glamour Vs Passion Pro etc.

51. Mobile help Blog – har mobile me jo bhi dikkat hoti hai uska solution, tips & tricks. Example : Redmi Note 4 me PUBG kaise khele, MX Player automatically stops in Redmi Note 4 uska solution etc.

52. Internet Stars – India aur videsh ke top Internet celebrities ke upar blog likh sakte hain jo musically, youtube, blog, Instagram par famous hain. Unse judi latest news updates, gossips aur unke future plans ka update kar skte hain.

53. Events Blog – Aane wale Events ke upar updates like college festivals, kisi musician ka live concert, standup comedian ka live show aur inki ticket kahaan se buy kare etc.

54. Apple Products Blog - Iphone, Ipad, MacOS etc. ke upar tricks and tips, latest updates wala blog. Iphone ka craze to apko pata hi hai kitna hota hai, traffic bhi bahut hoga in blogs par.

55. Freelancing – Freelance site ka review, best website for freelance writer, freelancing ka rate kaise badhaye, freelance job kaise paye, freelancing sites par apna reviews aur ratings kaise badhaye, client satisfaction kaise de freelancing karte time etc.

56. Wedding blogs – wedding dress select krte waqt ye sab batein dhyaan rkhe, wedding destination kaise select kare, wedding ki photography ke styles, best mehndi for wedding, wedding par kya gift de

57. Gardening Blog – ghar me aloe vera kaise lagaye, rose ke paudhe ki dekhbhaal kaise rakhein

58. Spirituality & Law of Attraction Blog – khush kaise rahe, gratitude journal kaise banaye, law of attraction kya hota hai, Vision board kaise banaye,

59. Born Today – List of People born today for all days of the year.

60. Dancing Tips – ise youtube channel ke saath kare 60. Guitar Lessons – ise youtube channel ke saath kare

61. Government Schemes Information – Sarkar ki jo bhi nayi scheme aa rahi hai uske upar pura detail blog.

62. Android Apps – video edit karne ke liye apps, best game wale apps, students ke liye best apps, photo edit karne ke liye best apps, online dating ke best apps etc.

63. Astrology Blog – astrologers ke liye ye sabse best blog hoga, horoscope, numerology, palm reading

64. Puja Blog – Diwali puja kaise kare, ganesh puja kaise kare, laxmi bhagwaan ke mantra, shiv bhagwaan ke mantra. Isi tarah aap apne religion ke liye bana sakte hain.

65. Sports blog – cricket updates, football, kabaddi, IPL, kaunsa player kitne me khairda gaya, kabaddi premier league, Indian Super league, Indian players with their wives/girlfriends (ye sab bahut dekhte hain log) etc.

66. Local Area Blog – City ya state ke upar – ghumne ki jagah, best coaching for guitar, best dance teachers in patna etc.

67. Health & Fitness Blog – weight loss, weight gain, dark circles kaise remove kare, diabetes kaise kam karen, blood pressure kaise normal maintain rakhen etc.

68. Entertainment Review – movie ka review, gaane ka review, south indian dubbed movie kab release ho rhi hai uski information

69. Life Coach Blog - Personality Development aur motivational articles post kiya ja sakta hai yahaan – confident kaise bane, naye dost kaise banaye, interview ki tayari kaise kare etc.

70. Job vacancies – sarkari naukari, private naukari ki vacancies, exam details ke bare me

71. Trending News – jo bhi news trending ya viral ho rhi hai uske bare me article like sakte hain

72. Mystery blog – Alien, UFO, Ghost, jalpari, Bermuda Triangle, Iceman, Unresolved mysteries, Conspiracy theories, Illuminati, in sab topics ke upar.

73. Adventure Lovers Blog – trekking kahaan kare, kaise kare, camping and hiking karne kahaan jaye, bungee jumping kahaan kare, river water rafting kahaan kare etc.

74. Home Product Reviews – jo bhi aap samaan kharidte ho uske upar detail review, cooler kharida to uska review, Patanjali Noodles Vs Maggi Noodles Review, best Toilet Cleaner, best detergent powder, Online shopping site ka review – kaunsa aapko accha lagta hai aur kyun

75. History Blog – historical figures ke upar articles, wars ki explanation, purane civilization ki details

76. Life Hack Blogs – productivity tips, Uncommon solutions to common problems, First aid box kaise banaye, bhukamp ke time khud ko kaise bachaye, barsaat me machar se bachne ke upay etc.

77. Fight Lovers Blog - Wrestling / Boxing / Fighting Championships se related updates, news aur articles – Top 10 WWE Finishers, Top 10 Women Wrestlers in WWE, Best Fights of John Cena, Top 10 Wrestlers brutally beaten up by The Great Khali etc.

78. Real Estate – Rehne ke liye plots, flats kahaan kharide, Commercial property me kaise invest kare, kaun kaunse documents bharne padte hain, alag alag state me kya rules hai, Property kharidte time kin batonka dhyaan rkhe, property dealer se property ka daam kaise negotiate kare, naye projects ke bare me jaankari, naye ghar ke liye vastu Shastra tips etc.

79. Online Sellers Blog – apna samaan online kaise beche, amazon par sellar kaise bane, flipkart par seller kaise bane, paytm par seller kaise bane, shopify bs shopmatic in india, thok ka maal kahaan se kharide, kaunse company se product shipping karaye, product ki online marketing kaise kare, discount aur coupon ka use karke kaise sale badhaye etc. – online selling karne wale logo ki har problems ka samadhaan yahaan kar skte he aap apne articles se.

80. Excel Tutorials – MS excel aisi chij hai jise jitna sikho kam hai aur IT/Commerce Field me har insaan ko aani chahiye par iska koi simple hindi bhasha me samjhane wala blog nahi hai. Ispe kaam kar ke acchi traffic generate ki ja sakti hai, India me English me excel par blog bana kar ek blogger to crorepati bhi ban chukka hai. Bahut demand rhti hai excel ke upar tricks, formula aur charts ki.

81. Top 10 blog – Top 10 politicians, Top 10 Cricketers, Top 10 actors, Top 10 horror movies etc.

82. How to Blog – Tutorial blog – email kaise banaye, youtube channel kaise banaye, aadhar card kaise apply kare, pan card kaise banaye etc.

83. Technology Explain – Printer kaise kaam karta hai, laser light kaise kaam karti hai, Electric car kaise chalti hai, uske peeche ki technology , virtual reality kaise kaam karti hai, 3d lens kaise kaam karti hai etc.

84. Travel – rajasthan me ghumne ki jagah, patna me ghumne ki jagah, Kanpur me ghumne ki jagah, kam budget me kaise travel kare, Best Travel bags review

85. Cooking & Recipes Blog – tasty aloo parantha kaise banaye, ghar me pizza kaise banaye, restaurant jaisa butter paneer masala kaise banaye, hostel me rehne wale students ke liye easy breakfast recipes.

86. Gulf Details – Dubai me jaa kar kaise kaam kare, kaise visa milta hai, kaun si companies acchi hain, kahaan rahe, naye job ki vacancies etc.

87. Book Summaries/Lessons – Acchi Kitabon ki summaries aur notes apne shabdo me

88. Magic Tricks – Simple jadu ke tricks jo log ghar par kar skte hain, jaise card tricks, number games etc.

89. Scholarship Updates – kaunsi university, ngo ya company scholarship de rhi hai uski puri details, kaise apply karna hai, kya eligibility hai etc.

90. College/University Notes & Assignments – iske liye apko alag alag forums aur blogs se notes compile karna hoga aur apne blog par dalna hoga. Example – IGNOU notes, Delhi SOL Notes etc. In blogs par hadd se jyada traffic aata hai.

91. Interview Question Collection – job interview question and answers, ias interview questions, tech interview questions, google interview questions

92. Relationship Advice – Dating aur love ke upar advice – ladki se kaise baat kare, kis tarah ka gift de, pehli date par kahaan le jaye etc.

93. Festival Wishes – har tyohaar par article likha ja skta hai, Diwali wishes, new year wishes, holi wishes, raksha bandhan greetings

94. Parenting Blog – chote baccho ki dekh bhaal kaise kare, kitne saal par kya khilaye, bacche gali de to kya kare, healtyh foods for kids, breastfeeding sahi tarike se kaise kare, apne baccho ki online safety kaise kare, baccho ke liye best skin care products kaunsa hai.

95. Sewing Blogs – kapde kaise seeye, sweater kaise banaye, jeans ko kaise seeye, ghar par carry bag kaise banaye

96. Foreign Education – videsh se padhai kaise kare, university ke liye kab kaise apply kare, kya procedure hai, naye forms ke updates, kaunsi acchi university hai kisi particular course ke liye.

97. Pregnancy Blog – Pregnancy shuru se end tak kya sawdhaani bartein, pregnancy exercise, weight loss after pregnancy, pregnancy ke time kya khaye, kya na khaye

98. Decoration / Interior designing/ Home decor / Craft– ghar ko kaise sajaye, used saman se pen stand kaise banaye, key chain holder kaise banaye, mehndi designs etc.

99. Gaming blog – best games ke review, best android games, best pc games, best pc setup for playing games, new games review, best xbox games.

100. Movie & Song Download- latest movie download, latest song download, purane movie yahan se download karen, best song collections etc. Lekin ye Topic blogging ke liye sahi nahi hai...

I Hope This post of Mahakal Trading is helpfur for who want to start blogging. Agar aap ko Mahakal Trading ka ye post "how to make money with a blog for beginners | 100 Blog Topics" achha laga ho to es post ko apne doston ke sath share karen sath hi Mahakal Trading Blog ko follow karen. Thanks!



1 comment:

  1. Thanks for giving such type of knowledgeable article..
    https://www.easymathematics.online/2020/08/how-to-solve-mixture-and-alligation.html

    ReplyDelete